Saturday 9 May 2015


Kitna bhi na kyoon ho jaana door mujh se
Tumhara dil kabhi bhi tumhara Gawah na ban payega
Wo Pal Pal chahta to hai bechara Mujhko
Ik din Sare Raah Dhokha tum ko Wo de Jayega !!
ajeet

Rukhsat hone se pehle yaad kar loonga
mein apni yaadon ke saath hi wida hoonga
tum yaad na karna kabhi bhi mujhko
kyoon ki dard ka wo pitara tumhare saath hoga !!
ajeet

Naseeb apna apna sab ke saath hai
Takdir ka chalna bhi to saath saath hai
kisi ko milti hai waffa yahan par
Koi jindgee bita deta Bewaffa ke saath hai !!
ajeet

Vishwash ke bal par chalte hein Rishtey
Jindgee ka saath Nibhane ko hote hein Rishtey
Takdeer ka kya bharosa ki kab toot jayen rishtey
Isi liye to log Naam de deten hein Bewaffa hein rishtye !!
ajeet

Naseeb apna apna sab ke saath hai
Takdir ka chalna bhi to saath saath hai
kisi ko milti hai waffa yahan par
Koi jindgee bita deta Bewaffa ke saath hai !!
ajeet

Rukhsat hone se pehle yaad kar loonga
mein apni yaadon ke saath hi wida hoonga
tum yaad na karna kabhi bhi mujhko
kyoon ki dard ka wo pitara tumhare saath hoga !!
ajeet

Vishwash ke bal par chalte hein Rishtey
Jindgee ka saath Nibhane ko hote hein Rishtey
Takdeer ka kya bharosa ki kab toot jayen rishtey
Isi liye to log Naam de deten hein Bewaffa hein rishtye !!
ajeet

Chalne ko to chal doonga mein tere saath
Kya tum saath nibha paogey dil se poocho
Hum ne to raahen apni choon rakhi hein
Akele hi chalna sikha hai, kisi ka kya Bharosa !!
ajeet

kaisa yeh milan hai aakash mein
chanda aur sooraj rehte hein aakash mein
ik aag ka gola aur doosra nirmal sheetal
insaan ke do pehloo hein jaisa aasmaam mein !!
ajeet

Teri Khoobsurat Chamdi se Kya lena
Agar tere ander ke bhav nahin achhey hein to
Yeh to Fanah hai yaara mit jayegi ik din
Khoobsurat banata chala ja apne is man ko !!
ajeet

Shraab ki dukkan par shaam ko
kya subah bhi bahut bheed hoti hai
pine walo ko shayad yahi pata hoga
ki subah bhi itni rangeen hoti hai !!
Log karne jaate hein pooja Mandir mein
In ki Raam leela yaha jarorr hoti hai
Raste mein pine baith jate hein yeh log
Mil baithey 2-4 yaar to mehfil rangeen hoti hai !!
ajeet

Girte ho thaam lena ho sake to
doobte ho nikal lena ho sake to
loottey ko bacha lena kabhi ho sake to
pyase ki pyas bujha dena ho sake to
bhookhey ko khana khila dena ban sake to
kisi ki duaa le jana agar mil sake to
is jivan ko yoon barbaad na karna ho sake to
daan hathon se jaroor karna ban sake to
yaad chahe mujh ko karna ya na karna kabhi
Bas nafrat kabhi kisi se na karna Ho sake to !!
ajeet

Saja Rakhi thi mehfil hum ne
ki un ka diddar jaroor hoga
warna kis kaam ki yeh mehfil
jis mein na aagman ho tumhara !!
ajeet

TUJH KO DIL KI GEHRAEEON TAK PYAR KARTE HEIN
TERI TANHAEEYON TAK KO HUM PAAR PYAR KARTE HEIN
IS SE JYADA AUR KYA KEH SAKTE HEIN DILBAR
HUM TO PAL PAL SAANS KE SAATH TUJH KO YAAD KARTE HEIN !!
AJEET

Din to gujar gaya, shaam chali aayee
us ke saath saath teri yaad chali aayee
kis tarah se na yaad karoon tujh ko mein
saath saath teri har baat chali aayee !!
ajeet

Kehte hein ki unhone ne Bewafaee kar di
kis liye kar di kya kabhi socha bhi hai
shayad wakat ne saath na diaa hoga
is baat ki to sach unhone had hi kar di !!
ajeet

Yaad karna humko, aur yaad aa jana
dheere dheere dil mein uttar jaana
fir na banana hum se koi bahaana
kyoon ki dil to sach hota hi hai Deewana !!
ajeet

teri khoobsurat si tasweer dil par chhane lagi
dil ko mehkaane lagi aur kuchh kuchh gaane lagi
tanha dil par bajne lagi na jaane kitni tarangey
ik shaam aane lagi aur mere sune man ko gungunane lagi !!
ajeet

Jindgee Jinda Hein Hum Tere dam par
Warna kab ke khaak mein mil chuke hote
Sanson ki dor ko chhootne mein wakt nahin lagta
yeh mauka to mila hai tera sath nibhane ke liye !!
ajeet

Din ka chain chheen liaa, raat ka aaraam
kya bhagwan banaya hai tumne kaam hi kaam
is dharti par bada bereham ho raha insaan
ik pal baithne ko bhi nahin karta aaraam !!
ajeet

***********kanoon andha ya andha kanoon**********
((((((((( waah mere desh tujh ko salaam mera))))))))))
KANOON ANDHA HAI, YA ANDHA KANOON HAI
MAINEY TO JINDGEE BITA DAALI INSAAF KE LIYE
TERI ANKHON SE SACHAEE KA PARDA NA UTRA
KYA FAYDA TERA BOOT BAKE YAHAN REHNA !!
AMMERON KE CASE SULAJH JAATE HEIN PAL MEIN
GAREEB BECHARA PAL PAL SATAYA JAATA HAI
HARAAM KI DAULAT LE LETE HEIN VAKEEL UN SE
TABHI TO SAARI RAAT JASHN MANAYA JAATA HAI !!
TAREEK PAR TAREEKH KI KHATIR GAREEB
SARA SARA DIN DHAKE KHATA REHTA HAI
PINE KO PAANI BHI NAHIN MILTA COURT MEIN
AMEERON KO THANDI BOTLON SE NEHLAYA JAATA HAI !!
LAGI REHTI HEIN KATARE SARA DIN YAHAN PAR
SOCHTA HAI JUDGE AAJ DEGA FAISLA MUJH PAR
PAR WAKT KI MAAR SE GAREEB KI DUNIA UJAD JAATI HAI
JAB AMEER BHAR DETA HAI JHOLI JUDGE KE GHAR JA KAR !!
HAM GAREEBON KA SAHARA TO AB BHAGWAAN BHI NAHIN RAHA
WO BHI RISHWAT KI JANJEERON MEIN JAKD JO RAHA
BADI LANAT HAI IS DESH KI KANOON PRAKRIYA PAR
IK INSAAAF KI KHATIR GAREEB GHAR KE BARTAN TAK BECH RAHA !!
KYOON LAGTI HAI COURT AUR KYA KARTE HEIN JUDGE YAHAN
KEWAL TARIKH KA DIKHAWA KARNE KA JAB HOTA HAI MAN UNKA
CHAMCHA BAITHA UNKA BEHKANE KE LIYE BAAT BANATA HAI
IK LACHHAAR APNI TAKLIF KO BAS SEHTA HUAA MAR JAATA HAI !!
KAVI AJIT KUMAR TALWAR